Blog Me Facebook Fan Page Box Kaise Lagaye


Blog me Facebook Fan page kaise lgaye


Facebook Fan Page Box Kya hai Aur Humare blog ke liye kyu Jaruri hai.

 Facebook फैन पेज बॉक्स क्या है और हमारे ब्लॉग के लिए क्यों जरुरी है


Jaisa ki hum sab jante hai ki Facebook sabse bda social networking site hai.
Hum sab roj Facebook ka istemaal krte hai. Agar aap blogging krte hai toh humare Liye ye bhut Jaruri hai ki hum bhi Facebook per apne blog Ko promote kre. Facebook per apne Blog ka promotion krne le Liye Hume Jaruri hai ki hamare blog (Website) ke Naam se Facebook per hamara ek page ho.

Agar aapne abhi tak Facebook page nhi bnya hai toh jaldi Bnaye ye Aap ke bolg ki traffic badane me bhut help krega.


Facebook Fan Page Box Ko Blog me lagane per isme ek Like button show krta hai. Is button per click krke koi bhi Aap ke page like (follow) kr skta hai. Facebook Page hi Facebook Fan Page Box hota hai. Aap Jo Article likhte hai use apne Facebook page per bhi Share kre isse Aap Ko bhut fayda hoga. Aap ne apne page per Jo bhi Article share krte hai. Vo article un sabhi logo Ko Facebook per dikhta hai. Jinhone Aap ka Facebook page like kiya hai. Is trah Aap ko apne blog ki traffic badane me help milegi.

Facebook Fan Page Ko Blog per lagane se humara Blog aur bhi accha lagta hai. Jab koi visiter humare blog per visit krta hai. Toh agar use hamara blog accha lagta hai toh vo turant humare page Ko like kr leka hai. Is trah hum jyda se jyda logo ke sath judte chale jate hai.

Aur hamare blog bhi famous hota chala jata hai kyuki hamare Facebook Fan Page ka naam humare blog ke Naam se hota hai. Is trah jyda se jyda log humare blog Ko janne lagte hai. Ye humare blog ke liye bhut accha hai. Maine bhi apne blog me Facebook Fan Page Box lagaya hai. Aap mere blog me niche mera Facebook Fan Page Box dekh skte hai . 

ये भी पढ़ें :- Blog Ki Basic Settings Kasie Kre

Facebook Fan Page Box Ko Blog me Kaise Lagaye

Facebook फैन पेज बॉक्स को ब्लॉग में कैसे लगाएं

Ab mai topic per ata hu. Facebook Fan Page Box Ko Blog per lagane se pehle apne page ka Url set kr le.
Step by Step mai Aap Ko btata hu ki Facebook Fan Page Box Ko Blog me kaise lgaye.

Step1:- Facebook Fan Page Box Ko Blog me lagane ke liye Aap sabse pehle is Website https://developers.facebook.com/docs/plugins/page-plugin Per jye.

Step2:- Ab Aap ke Samne ek page khulega. Sabse pehle Aap isme apni blog(website) ka Url dale

Ab jinta Aap Ko apne box ki height Chahiye height wale box utna bar de.
Isi trah page width bhi bhar de jitna aapko rakhna ho.
 Mere hisab se 250 height aur 300 width sahi rahega. Dekhe me bhi aapka Fan Box Accha lagega.

Agar aap chahte hai ki jinhone aapke page Ko like kiya unke face box per dikhe toh Show Friends Face ke age tik (√) ka Mark lga de. Aur niche   per click kr de .

ये भी पढ़ें :-Blog Ko image Ko SEO Friendly kaise bnaye

Step 3:- Ab ye dusra wala (step3) code copy kr le.. isme kuch bhi apni traf se add ye delete na kre.

Step4:-Ab apne apne blog ke dashboard me jye.
Layout me jye add a gadget per click kre.

HTML/JavaScript per click kre.

Step4:- Ab tital me "Facebook Fan Page Box" likhe.
 Content wale box me copy kiya hua code paste kr de. Aur save per click kr de.
Ab aapka Facebook Fan Page Box bolg me lag chuka hai. Aap ise blog me niche dekh skte hai. Aap ke blog me Facebook Fan Page Box kuch is trah se dikhega. Aap niche dekh skte hai.

Ummeed hai ab jaan gye hoge ki blog me  Facebook Page Box kaise lagate hai. Agar article accha lge toh Share aur comment kre. Thank u..!

Post a Comment

1. कमेंट बॉक्स में किसी भी प्रकार की लिंक ना पेस्ट करें।
2. कमेंट में गलत शब्दों का प्रयोग ना करें।

Previous Post Next Post