Mobile Ko Root Karana Kya hota hai


Mobile Ko Root Krna kya hota hai

Mobile Ko Root Karana Kya hota hai 

मोबाईल को रूट करना क्या होता है

Hi Friends! Aaj hum is Article me ye janege ki Mobile Ko Root krana kya hota hai Aur phone Ko Root krane ke kya Faiyde hai aur kya nuksaan hai.

Dosto Kai bar Hume apne mobile ko Root kraane ki zarurat padti hai. Mobile ko Root karna ek Experimental way hota hai. Jisse Aap apne Smartphone Ko unlock karke usme different types ke experiment kr skte hai. But isme kuch savdhani bhi brtani padti hai.

Read More :-
Fix Deposit Krane ke Faiyde Aur Nuksaan

Mutual Fund Me Invest Krke Isse Paisa Kaise Kamaye

Interview Me Success Hone Ka Mantra

 Phone Ko Root Kab Aur Kyu Krna Padta hai

 फोन को रूट क्यों करना पड़ता है

Kai Aise Application aur Software hote hai. Jo sirf Rooted phone me hi kaam krte hai. Mtlab un Apps Ko apne phone me chalane ke liye Aap Ko apne phone Ko Root krana padega.khas krke wifi hacking ke jydatar apps Rooted phone me hi kaam krte hai

Aapne playstore me dekha hoga ki kuch
aaps me Root Required likha hota hai. Jiska mtlab hota hai ki us aaps Ko apne mobile me chalane ke liye Aap ke phone ka Root hona Jaruri hai. Bina root kiye vo Apps Aap ke mobile me nhi chlage.ab Aap ye jaan chuke hai ki Mobile Ko Root krna kya hota hai. Ab hum janege ki Mobile Ko Root krne ke kya Faiyde aur nuksaan hai.

Mobile Ko Root Krne Ke Advantages / Disadvantages Ke Bare Me Jane

फोन को रुट करने के फायदे और नुकसान

Kuch log Root krne ke Advantage aur disadvantages Jane bina hi phone Ko Root krane lagte hai . Jisse unke mobile phone hamesha ke liye khrab bhi ho skte hai.
 
Agar aapka Mobile Root hai aur is bech me aapke mobile me kuch galti ho gyi. Toh aap ka mobile bricks ban skta hai. Jisse Aap ka phone kisi kaam ka nhi rahega Aap ka on nhi hoga.

Root hone ke bad bhi agar system ka koi important app Ko Aap ke phone se uninstall kar diya jaye toh Aap ka smartphone kharab ho skta hai. Aap ka phone na hi on hoga aur na kisi kaam ka rahega. Isliye puri jankari ke bad hi apne phone ko Root kre.

Mobile Ko Root Krne Ke Advantages

मोबाइल को रूट करने के फायदे

Android Smartphone phone Ko Root krana ke ye hai Faiyde niche pade

1. Mobile ke Ram ki bhi bdha Skte hai. Jisse Aap.ke phone ki speed bhi badh jati hai. Aur Aap ka phone hang nhi hoga.

2.Internal Memory Ko bhi bdha Skte hai.

3.Apne Apps Ko internal memory se S.D card me move kra skte hai. Jisse Aap ki internal memory jyda nhi barega aur aal ka phone hang nhi hoga.

4. Root krne ke bad Aap apne Android ke performance Ko sudhar skte hai. Jisse Aap ke phone per multitasking or gaming ka performance accha milta hai.

5. Apne phone ki battery Ko bhi bdha Skte hai. Greenify app apke apki phone ki battery Ko bda skta hai. Ye sabse bdha faidya hai phone Ko Root Krne ka.

6. Root krne ke bad Aap smartphone ke Faltu pre installed app Ko uninstall kar skte hai.

7. Root krne ke bad Aap apne Android Ko apne man se coutomized ksr skte hai. Aise ksi Sare apps mil jayege Aap Ko Jo Aap ke smartphone Ko coutomized karne me Aap ki madad se karenge.Jaise ki Gravity box, xposed module's etc.

Mobile Ko Root Krne Ke Disadvantages

मोबाइल को रूट करने के नुकसान

1.Android Ko Root krna ek illegal process hai. Root krne se aapke phone ki warranty khatam ho jati hai. 

Isliye ho ske toh koi Purana Smartphone Ko hi Root kre.Agar fir bhi Aap apne new smartphone Ko Root krna chahte hai toh Root krne ke guide ke sath sath usko unroot kaise krte hai. Vo bhi acche se jaan le.

2. Jaisa ki Maine uper Aap Ko btya tha ki Root krte time koi galti ho jati hai toh Aap ka phone kisi kam ka nhi rahega.or fir dubara on bhi nhi hoga.

Isliye root karne se pehle Aap ke data ka backup external sd card pe back-up pe lena chahiye.

3. Android Smartphone Root karna ka ek bdha nuksaan yeh hai ki Aap apne Smartphone Ko lastest OTA updates de update nhi kr skte hai. 

Company rooted smartphone ke liye software updates nhi bhejti hai. 

Lekin Aap manually apne phone Ko Update kar skte hai. Iske liye Aap Ko zip file se recovery mode me update karna hoga.

4. Rooted phone kuch apps kaam nhi krte hai. Kyu ki rooting ek processes hai jis se Aap system ke value Ko change kar skte hai.

Read More :-
ATM Se Paise Nikalte Waqt Barte Savwdhani

Online Paisa Kamane Ke Top 7 Tarike

Jiske Karan kuch apps Ko lagta hai ki Aap ka device froud hai. Jisse wo apps Aap ke phone me kaam nhi krte 

For Example :- Google Wallet

Root Krna Chahiye ya nhi

रूट करना चाहिए की नहीं

Aap Ko aap ka smartphone Root krna hai ki nhi ye Aap Ko Shochna hai. 

Kyuki isme fayde toh hai hi but kuch nuksaan bhi hai. 

Meri Salah mane toh Aap koi Purana Android phone Ko Root kr le. 

Kyuki rooted smartphone me Aap wo sab bhi kar skte hai. Jo bas Aap shochte hai. 

Jaise man lo Aap ke phone se sms delete ho gye hai toh Aap playstore se deleted sms Recovery ka koi bhi app Download karke apne sms Recover kar skte hai.
 
But is app ke liye aal ka phone rooted hona chahiye

Aise aur bhi bhut se chize hai jinhe Aap smartphone Ko Root Krne Ke bad hi kar sakte hai. 

Toh Ghar pe padha koi smartphone Ko uthaiye or apne phone Ko Root kre. Mai apne next Article me Aap ko btauga ki Smartphone Ko Root kaise krte hai. 

Agar aap Ko mera ye Article psand aaya toh apne dost ke sath is Article Ko Share kre. Aur apne dosto Ko Root ke bare btaye.

ये भी पढ़ें:- 

Post a Comment

1. कमेंट बॉक्स में किसी भी प्रकार की लिंक ना पेस्ट करें।
2. कमेंट में गलत शब्दों का प्रयोग ना करें।

Previous Post Next Post